Ab Jo Koi Puche Bhi
ab jo koi pooche bhi to us se kia sharaah-e-halaat kahein,
dil thaihre to dard sunaaie dard thame to baat karai,
shaam hui phir josh-e-qadah ne bazam-e-harifaa roshan ki,
ghar ko aag lagaaie ham bhi roshan apni raat karai,
qatal-e-dil-o-jaa apne sar hai apna lahoo apni gardan par,
mohar–ba-lab bethai hai kis ka shikwa kis ke saath karai,
hijar mai shab bhar darad-o-talab ke chaand sitaare saath rahe,
subah ki wiraani me yaaro kese basar aokaat karai..